Wednesday, February 21, 2007

Ek Jhalak..........

doob gaya sanskriti ka beda, toh phir bharat kya hoga..........

lut gayi punji parampara ki, toh phir garath kya hoga..........


bhartiyta bhool gaye sab, bhasha-bhusha angrezi,

apna choda chal chalan, pehna bana rang rezi,

apne kul ki reet chod di, khan paan aur preet chod di,

dub gaye paschim ke rang mai, toh purv ka kya hoga..........



maa jite ji mummy bani, aur pita hue hain dead,

uncle aunti phire aneko, bina par ke head,

chacha tai ki kya baat, dada nana hai bakwaas,

smabodhan par dhool padi toh, sambandhon ka kya hoga..........


abhimanu toh aaj vyast hai, film view ke ghere main,

lakshman arjun ulajh gaye hai, rajniti ke phere main,

shravan farz ko bhul gaya hai, karan karz main dub gaya hai,

ram bharat ki khilli udti, naitikta ka kya hoga..........

birth date par cake kate, varshganth ka naam nahi,

roli tika geet badhai, nyochhavar ka kaam nahi,

bheton ki hoti bharmar,dhan vaibhav ka hua prachar,

tula pyaar bhi swarn tula par, aashishon ka kya hoga..........


bhool gaye bharat ki lalna, palna soye apne laal,

panna jija apna padma khoi, aaj menka hui nihaal,

rakhi toh badnaam hui hai, doli toh nilaam hui hai,

seeta shaan bani hotel ki, pawanta ka kya hoga..........


bhul gaye bhagat aur shekhar, bhula diye hain shiva pratap,

prithviraj ki baat karo toh, kehte raaj kapoor ka baap,

udhyam se hain aankh churai, tod phod ki vidhi banai,

adhikaaron ki maang badi toh, kartavyon ka kya hoga..........


kaam dev ne bhasam kiya hai, sadaachar ke shankar ko,

krishan keelna bhul gaya hai, anadhar ke vishdhar ko,

dhura dharam ka toot gaya hai, karam yog to chut gaya hai

nishkriyta se prem bada toh, karmathta ka kya hoga..........


saraswati nartan karti hai, lakshmi ke darbar mai,

hindi maathe ki bindi toh, bikne lagi bazar mai,

kalakaar bhookha marta hai, sadachaar sir dhunta hai,

kalamkaar ka mol ghata toh, maulikta ka kya hoga..........


jis bharat ka uncha darshan, jaha videshi karte vandan,

behti ganga jamuna pawan, sagar jiska karta archan,

paat paat hai jiska nandan, kan kan hai maathe ka chandan,

bikhar gaya jo roli kumkum, maa ka vandan kya hoga..........


Ram Prasad Bismil
Pt. Gurudatt

2 comments:

Unknown said...

Bahut khub bhai. . .

Unknown said...

Aap ne to ankhyain nam karwa diya.